TutorPapa par Tutor kaise banein
TutorPapa par online tutor kaise banein: tutor register karein, email verify karein, profile mein subjects, classes, boards, exams bharein. Video guide.
TutorPapa Team
02 Nov 2026 · 5 min read
Kya aap apne subject ke expert teacher hain aur online ya home tuition ke liye naye students dhoondh rahe hain? TutorPapa par tutor ban kar aap poore India ke students aur parents tak pahunch sakte hain. Is video aur guide mein hum batate hain ki TutorPapa par tutor registration kaise karein aur apna tutor profile kaise poora karein.
Kaun ban sakta hai TutorPapa tutor?
TutorPapa sirf subject specialists ke liye hai jinke paas kam se kam 2 saal ka teaching experience hai. School teachers, coaching faculty, subject experts aur experienced home tutors apply kar sakte hain. Har profile ko TutorPapa team check karti hai (ID, qualification, background check aur ek chhota demo) aur uske baad hi profile live hota hai.
Video dekhiye: TutorPapa par Tutor kaise banein
Video mein dikhayi gayi form values sirf sample hain; aap apni sahi jaankari bharein.
Tutor registration ke steps
- Become a tutor: www.tutorpapa.com kholkar upar menu mein Become a tutor par click karein.
- Create tutor profile: page par eligibility padhein aur Create tutor profile par click karein.
- Tutor account banaiye: Tutor option ke saath apna naam, email, mobile aur password bharein. Tutor Agreement padhkar tick karein (TutorPapa se mile students ki classes 12 mahine tak TutorPapa ke zariye hi hongi) aur Create tutor account dabayein.
- Email verify kariye: email mein aaye link par click karein. Verify hote hi aap apne Verification page par pahunchte hain.
- Portfolio poora karein: Tutor dashboard mein Portfolio completeness dikhta hai. Poora aur verified profile hi parents ko search mein dikhta hai.
- Headline, about, qualification, experience: My profile mein photo, headline, kam se kam 80 characters ka "About you", highest qualification aur teaching experience (saal) bharein. Demo video link (YouTube / Google Drive) se parents ka bharosa badhta hai.
- Subjects: wahi subjects chunein jinmein aap specialist hain, jaise Mathematics, Physics, IIT-JEE, NEET, coding ya languages.
- Classes, boards aur exams: Class 9-10, Class 11-12 jaise groups aur CBSE, ICSE, UP Board, IIT-JEE, NEET jaise boards / exams chunein. Class link mein apna Google Meet / Zoom link save kar sakte hain.
- Verification & safeguarding: 5 checks poore karein: ID document, qualification certificate, police / background check, safeguarding policy aur demo / interview. Documents PDF, JPG ya PNG (5 MB tak) mein upload karein.
- Availability slots: Bookings & availability mein date, time, minutes aur mode chunkar Add slot karein. Har booking request 12 ghante ke andar confirm karein.
- Leads & demos: parents ki demo requests yahan dikhti hain. TutorPapa team parent se baat karke demo aapke open slots mein book karti hai.
Profile ko strong banane ke tips
- Headline mein apna main subject aur exam likhein, jaise "Physics for JEE & NEET".
- Sirf wahi subjects aur classes chunein jo aap sach mein achhe se padhate hain.
- Saaf, professional photo aur 1-3 minute ka demo video lagayein.
- Availability hamesha update rakhein, taaki demo jaldi book ho sake.
Madad chahiye? TutorPapa team se baat karein
- Phone / WhatsApp: 9984248424 / 8188998866
- Email: mytutorpapa@gmail.com
- Website: www.tutorpapa.com
Looking for a tutor?
Tell us what you need — get matched with verified tutors in 2 hours.


